Published 7 years ago
Last updated 7 years ago
Q: Doran-e-namaz sajda tilawat ke mutaliq sawaal. Soorah alaq ki last aayah pe sajda tilawat krne or wapis takbeer keh or khade hone k bad kia. ye zaroori or behter h k mn next soorah ki 1 or 2 verses recite kroon or us k bad hi rakoo mn jain.
A: Sajda-e-tilaawat karne ke bad, agar aap ayk do aayat parhe, to behtar. Owr agar sajda-e-tilaawat karne ke ba'd aap fowran ruku' me gaye, to is tarah karna makrooh he, lekin namaaz hojaegi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: