Kiya koi Musalman aashiq-e-Rasool kehla sakta?

Q: Kaya koi Musalman aashiq-e-rasool kehla sakta hai? Kiyun kay aashiq kay lufz tu bara amiyana hai. Musalman tu Rasool ka sir ghulam ban sakta hai

Doosri baat kay Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ka mehboob thay phir hum un kay aashiq kaisay ho saktay hain?

A: Jaha par lafz aamiyana tor par istimaal kya jaata he to waha par koi doosra lafz istimaal kare.

Ishq aur ghulami me koi tabaayun aur munafaat ki nisbat nahi he. Dono jama ho sakte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)