Kiya Nabi (sallallahu alaihi wasallam) haazir naazir he?

Q: Agr ye aqeeda rakha jae k Nabi Kareem (sallallahu alaihi wasallam) door se hamari awaz sunty hain aur Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ko door se pukara jae madad k lye..

Ek hadees pak hay ek bar Nabi Kareem (sallallahu alaihi wasallam) tahajud k lye uthy wuzo farma rhy thy k Ammi Aaishah (radhiyallahu anha) farmati hain k mene dekha k Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) wuzo krty waqt farma rhy thy labaik labaik (me hazir hn) Ammi Aaishah (radhiyallahu anha) farmati hain mene pucha Ya Rasool Allah ap ko farma rhy hain to farmaya is waqt Makkah me mere ek ummati ne mujhy madad k lye pukara hay to us ko jawab diya'

Mene hadees ka mafhoom bayan kiya hay... to is hadees k teht ye aqeeda rakhna kaisa k Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) door se sunty hain to madad k lye pukara ja skta hay? 

A: Ye hadeeth be sanad he. Uski taraf dhiyaan na de. Ye aqeedah rakhna ke koi bhi nabi ya wali haazir naazir he aur woh hame har waqt dekh rahe he islaami aqaaid ke bilkul khilaaf he. Ulama ne usko shirk ke saath muta`alliq kaha he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)