Q: Meri ammi nay 2 shadi ke hein. Phelay shoher say unkay hum 5 behan bhai hein aur unhou nay koi jayedad nhi chori hay. Dosray shoher say koi aulad nhi lekin dosray shoher nay unkay naam jou jayedad ke hay uske taqseem kaisay hogi?
Unke 4 aulad unke khidmat nhi karte na unko khurcha dayte hay ammmi meray sath rehti hein may he khidmat kerta hu lekin yeh jayedad humaray dosray walid ke hay.
Hum sub behan bhai phelay walid ke aulad hein ammi nay apna ghar sale kya tha 75 lakh ka us may say 1 bhai ko 5 lac dye thay 1 bhai ko 4 lac 50 hazar yehi behan ko dye mjhe bhe 5 lac dye ab eik aur ghr aur baqi paisa ami mjhe deina chahte hein apni zindagi may kya yeh jayeiz hy?
A: Khidmat ke sila me agar kuch zaaid dena chaahti he to jaaiz he lekin hamaari raai ye he ke woh achcha hissa apne liye rakhe. Sab payse taqseem na kare. Doosre aulaad ko bhi kuch de.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: