Zindagi me zameen ko bete ko dena

Q: Ham 4 behnai or 4 bhai hain or hamara 1 kanal ka plot tha mere walid ka. 3 marlai kaat liye gaye, 17 marlai pai ghar bana hai. Walid saheb ne plot 4 brothers ko de diya. Sisters ka hisa kya hoga is mai? Or mera aik bhai ghoom chuka hai. Uska hisa bi hoga or mere mother ka hisa bi hoga kiya? Agar sisters ka hisa hai tu aj ke dhor mai aik bhai ke ooper behan ka kitna hissa aye ga? Or uski maliyat kya hoge yani aik bhai aik behan ko kitni amount dega.

A: Waalid ne apni zindagi me beto ko dediya, to jab dediya to unka ho gaya. Jab unhi ka hogaya to usme behno ka hissa kis tarah aaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)