Q: Mere 5 bhai aur do behne hain aur meri walida mohtarma Alhamdulillah ba hayat hain jabke walid mohtaram wafat pa chukey hain.
Mere walid ke naam ek ghar hai aur kuch raqam hai. Ek adad gaari hai aur ghar ke kuch saman jo walid sahab ne kharide they wo hain.
Meri rehnumai farmaiye ke ghar walida ke naam hone ke baad aur sara saman bechne ke baad jo raqam hogi wo kis tarah taqseem hogi 5 bhaio 2 behno aur walida ke darmiyan?
A: Agar waalid sahib ne marne se pehle makaan ya koi cheez aapki waalidah ko dediya aur qabdha karadiya to waalidah ka hogaya aur agar qabdha na karaya ho ya na diya ho to khud ba khud waalidah ka no ho jata he balke aur unke maal aur jaaidaad ke saath milaake waalidah aur bhai behno ke darmiyan taqseem kya jaayega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: