Q: Aik company he jiska name Moalij Prepaid Health Care Scheme he. Ye idaarah health par kam karta he. Matlab agar koi elaaj karwana chahta he to usse is idaare se register hona pare ga jiski fee 700 he. Ye registration sirf 1 month ki he. Agar isi month koi bemaar hota he ya accident hota he to jisne registration karwai he wo is idaare se contact karega aur ye idaara jitny bhi expense ho gi elaaj ke duran chahe wo accident ka case ho bill adaa kare ga.
Is idaare ke different hospital se contact he. Elaaj bhi sirf unhi hospital se karwana he. Ye sirf 1 month tak hai. Agar kisi ne fee jamaa karwai aur wo bemaar na huwa to fee wapis nahi ho gi. Ye process he. Ya phir koi pehle se bemaar he wo is idaare sy 1 month ke liye register ho ke 1 month tak elaaj karwa sakta he. Elaaj ke duran sab kuch medicine, doctor ki fee, rent sab kuch idaara hi bill de ga. Kiya is tarah ki marketing job karna jaiz he?
A: Ye bhi eik qism ka beemah he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: