Namaaz me surato ke tarteeb ka lihaaz rakhna

Q: Me ne chaar rakaat nafl namaaz me Surah Fatiha ke saath ek rakaat Surah Ikhlaas doosri rakaat me Surah Naas aur teesri rakaat me Surah Falaq aur akhir me Surah Kosar parhi? Kia ye theek he?

Aur chaar rakaat fardh namaaz me Surah Fatiha ke saath pehli rakaat me Surah Ikhlaas aur doosri rakaat me Surah Naas parhi aur teesri or chothi rakaat me sirf Surah Faatiha parhi? Kiya ye sab theek he? Meri namaaz theek he? Agar nahi to behtar tareeqa bata de.

A: Surato me tarteeb ka lihaaz rakhna dharoori he. Lihaza pehle Surah Kawthar, phir Surah Ikhlaas, phir Surah Falaq aur akheer me Surah Naas parho.

Fardh namaaz me doosri rakaat ki qiraat pehli rakaat ki qiraat se ziyaadah na honi chaahiye, aur do surato ke darmiyan sirf eik surah ka chor dena durust nahi agarche namaaz ada hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)