Ghusse me Quraan Shareef ko phenkna

Q: Agar ghar me larai jagre ke doran Quran Paak ko koi banda neeche gira de lekin jab zameer malaamat kare to foran utha le aise bande ke baare me kiya hukam he?

A: Agar us ne Quraan Shareef ko jaan booj kar ihaanat ke towr par zameen par phenk diya, to wo Islam se khaarij hogaya aur kaafir hogayaa. Us ko chahiye ke rowe aur bari nadaamat ke saat sache dil se tawba aur Allah Ta’ala se wada kare ke wo aainda aisa ghunaa nahi karega. Issi tarah us ko chahiye ke dobaara kalima tayiba parhe aur jitne log jo waha par mojood the un sub ko bataawe ke us ne tawba kiya aur aainda wo aisa ghunaa nahi karega. Agar wo shaadi shuda he to nikaah dobaara kare aur agar us ne hajj kiya to dobaara hajj ke liye jaai agar uske paas istitaa'at ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)