Qarz utaarne ke liye sood ka qarz lena

Q: Meri ammi ne ek qarz utarne ke liye doosri jaga se qarz liya he. Qarz is tarah he ke agar 50000 liya he to 65000 wapis karna parega aur wo bhi 5000 ya 6000 per month ke hisaab se instalment basis par aur ye silsila 10 ya 12 saaal se chal raha he. Jab qarz liya jata he to jhoot ka karobar show karwaya jata he. Baad me ye paise doosre kaamo me laga diya jate he aur ye silsila chalta rehta he.

Ab me is paise ke khilaaf is liye hota hu kyun ke ye sood or jhoot ka paisa he. Humare ghar me barkat nahi rahi jab se ye paisa aana shuru hua he. Kiya ye sood hi he? 

A: Ye khaalis sood he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(Scroll down for more information regarding this question)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Ab me kiya karu kiyun ke us paise se ghar ka khaane peene ka samaan bhi aaya he aur sab kehte he ke majboori me ye qadam uthaya he. Is se kuch nahi hota. 

A: Qarz ki miqdaar jo aap lete he, wo aap ke liye halaal he leikin wo miqdaar jo qarz se ziyaada aap dete ho, wo sood he. Allah Ta'ala se taubah kare aur is soodi mamala ko khatam karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)