Published 5 years ago
Last updated 4 years ago
Q: Agar koi namaz parh raha ho aur koi aap ka samne sa baar baar guzar raha ho to kisi ko yani mujhe is harkat sa ghussa araha ho aur achanak namaz toot jayae to is ka gunah mujh par he ya is par gussa karna theek he?
A: Us ki wajah se aap apni namaaz na toro. Namaaz torna is wajah se jaaiz nahi he. Jaise wo ghunegaar hoga saamne se guzar jaane se, aap bhi ghunegaar honge namaaz torne ki wajah se. Aainda aap apne saamne koi sutra rake. Agar aap sutra rakenge aur phir koi saamne guzar jaawe, to phir lowgo ke liye saamne se guzar jaana jaaiz hoga. Lekin aysi jaga namaaz na parho jo lowgo ki guzarne ki jaga he (guzargaah).
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: