Dono biwiya ka haqq waraasat me barabar he

Q: Mera in laws ka kehna he ke husband ke warasat me jo kuch mere se pehle tha sab first wife ko de aur mere aane ke bad jo bhi new purchase kare jaidaad waghaira wo dono me equally distribute kare halan ke mere husband ne second marriage is liye ki ke first wife misbehave karti thi husband ki family se. Islam kiya kehta he is bare?

A: Meeraath me dono ka haq barabar he. Khawind ke jitne maal wa ghayra chaahe pehla khareeda ho ya bad me dono biwi ko barabar diya jaayega. Usme kami ziyaadati karna haraam he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)