Published 5 years ago
Last updated 5 years ago
Q:
1. Admi urine karte waqt khare hoke karne se napak hojata kiya?
2. Urine khare hoke karke, wash karlene se paak hojate he kiya?
3. Agar urine khare hoke karke wash karne ke baad, wudho karke namaz parh sakte he kiya?
4. Is ka saheeh tareeqa kiya he bataye, kyunke me kuch logo ko khare hoke urine karne ke baad wudhu karke namaz parhte dekho hu, kiya aise logo namaz parhsakte he?
A:
1. Napaak to nahi ho jata lekin ye tareeqah ghalat he. Peshab ke qatre se bachna mushkil he.
2. Paak to ho jaayega lekin qatraat lagne ka hamesha andesha he.
3 - 4. Jab paak he to phir usme shubah kya he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: