Q: Aik khatoon mayyat ke waariseen me shohar, 2 bete, 1 beti kuch jaidad jo shohar ne khareed kar biwi ke naam ki he. Mayyat ki aik sagi behen jiss ki kafalat marhooma karti thi aur jo behen us marhooma ke sath bachpan hi se rahti he.
1. Shohar ka hissa kitna ho ga?
2. 2 beto ka hissa kitna ho ga?
3. 1 beti ka hissa kitna ho ga?
4. Marhooma ki behen ka hissa banta he ke nahi jab ke ab walidain or bhai fot ho chuke he?
5. Marhooma ke shohar ne marhooma ki iss behen se nikah kar liya he, kiya ye sorathal me warasat par asar andaz ho sakti he?
A:
1 - 3. Marhoomah ka tarikah ko 20 baraabar hisse me baant de aur is tareeqah se taqseem karle:
Shohar ko 5 hisse milega
Har larka ko 6 hisse milega
Larki ko 3 hisse milega
4. Marhoomah ki behn kuch nahi milegi.
5. Nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: