Published 4 years ago
Last updated 4 years ago
Q: Mera question he ke mera sar ka baal bohot kam he yahn ka sir ki skin bhi nazar ati ha or hair ki length bhi bht kam ha yeh barhty bhi nhi han. Is waja sa rishta hona ma dikat ho rhi ha to kia ma hairs ma permanent artifical wig lagwa sakti hon kia yeh jaiz ha ka gunnah ha? Guzarish ha mera is masla ka quran or ahades ki roshni ma jawb dain taka ma sai faisla kar skon.
A: Wig ka pehna jaaiz he beshart ye ke wo insaan aur suwar ke baal se bane howe na ho. Lekin permanent baal lagwaana jaaiz nahi kyuke ghusal e janaabat me paani ko sar ke khaal tak phonchaana daroori he aur permanent wig jo nikaala nahi jaasakta paani ko sar ke khaal tak phonchne se rowk lega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: