Q:
1. Mujhe meri shadi jaldi hone ke liye roza rakhna he. Kiya me roza rakh sakti hu?
2. Nafil roza week me 1 bar rakh sakti he? Agar rakh sakte hai to konse din rakhna chahiye? Niyat kab karna hoga? Aur iski dua kiya he?
3. Agar mera roza us din toot gaya to kiya me koi agle din rakh sakti hu?
A:
1. Jee ha, aap nafl roza rakh sakti. Aap ye niyyat kare ke is roze ki barkat se Allah Ta'ala aap ki shaadi jaldi karaai.
2. Hafte ke kissi bhi din me aap nafl roza rakh sakti, leikin agar aap saneechar ke roz roza rakhe, to behter he ke us se eik din pehle ya eik din bad eik aur nafl roza rakhe. Sirf saneechar ke roz roza rakhna makrooh tanzeehi he.
3. Agar aap nafl roza thor de ya roza toot jaaye (mathalan haidh se), to us ki qadha aap ko rakhni paregi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: