Zindagi me ghar ki taqseem karna

Q: Mere walid ba hayaat hai... Bas main apne behno ko unke haq se door nahi karna chahta. Mere walid ke hisaab se unhone unki shadi kardi yaha zimmedari khatam. Ab yaha kuch nahi. Phir main abba ko mana lunga unko 15 lakh me hissa dene. Islamic hisaab se mujhe mere 4 behne ko kitna dena hoga 15 lakh me se. Abba jo de unke hisaabse wo thik hai. Phir Islamic hisaab se unka haq kitna hai. Hum total 4 (betiya) +1 (beta)= 5 hai.

A: Agar aap apne waalid ka ghar un ki ijaazat se farokht kar rahe he, to ghar ke paise aap ke waalid ke honge. Ghar farokht karne ke bad agar aap ke waalid apni aulaad ko ye paise hadya me dena chahte, to wo de sakte he. Hadya me un ko apni aulaad ke darmiyaan baraabari karna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)