Published 3 years ago
Last updated 3 years ago
Q: Agar weham ho ke hum nay kuch naoozbillah galat bol diya hai Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ke bare mai to kiya kaffarah ho jata hai?
A: Agar sirf waham ho, to aap awhaam ki taraf tawajju na de. Leikin agar aap jaante ho ke aap ne kisi mawqe par Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ki mubaarak shaan me gustaakhi ki ho, to aap istighfaar kare aur aainda ihtiyaat kare. Issi tarah aap Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala aap ko Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ki sachi mahababt naseeb farmaai aur un ki tamaam sunnato par amal karne ki tawfeeq naseeb farmaai. Rozaana kuch waqt nikaalde durood shareef parhne ke liye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: