Q: Agar husband and wife ki koi aulad nahi hai magar unho orphanage se ek bacha adopt kiya hai tu maa ya baap main se koi mar jaye tu jayedaad main us bache ka kitna hissa hai aur ya koi aisa rasta hai ke apni zindagi main wasihat karde ke humare baad is jayedaad ka haqdaar yeh bacha hai.
Aur doosara sawal yeh hai ke ghar property mein husband aur wife ka barabar hissa hai tu agar dono main se koi ek mar jaye tu property main adopted bache ka kitna hissa hai?
A: Le paalak (adopted) aulaad waaris nahi hote leikin agar un ke maa baap jinhone un ko adopt kar diya un ke liye wasiyyat karna chaahe, to wo wasiyyat karsakte. Leikin wo sirf taraka ke eik tihaayi hisse me se un ke liye wasiyyat kar sakte he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: