Musaafir ke liye Mina me qasar ki namaaz adaa karna

Q: Mai apni maa k sath hajj pe gaya tha aur irada ye tha ke shayad humlog 14 din Makkah me rahenge, Mina rawangi se pehle, toh maine qasar ki namaaz ada karne bola. 15 din humlog Mina gaye magar waha mere sath jo log aaye the wo log puri namaaz parh rahe the jisse mai confuse hogaya bohot aur socha ke shayad mai ghalat hoon aur meri maa ne jo namaaze parhi mere bolne pe wo ghalat hogayi.

Mai bohot depress hogaya aur maine unse aur Allah se ro kar maafi mangi. Maine hajj ki date andaze pe internet pe dekhi thi aur us hisaab se maine 14 days calculate kiya aur wo alhamdullilah 14 days hi hue. Mujhe Islamic calendar aur imam saab se puchne ka khayal nahi aaya jis wajah se mai bohot hi ziyada confused hogaya logo ko dekh kar. Abhi mai shukrya ada kiya Allah ka ke maine jaisa calculation kiya wo saheeh huwa. Magar mujhe khayal aate rehta ki sahyad mujhe calendar ya local imam ko pehle puch lena chahye tha. Agar wo 14 din se ziyada hote toh mere puri namaze ghalat hojati.

Mujhe ye khayal aate rehte hai ki kaash maine ache se malumat ki hoti toh mai confusion me nahi girta tha. Abhi mai seekh raha hoon deeni masail magar jo kaam mai ache se kar sakta tha uska afsos hamesha rehta hai. Mai jaise jaise seekh raha hoon toh aise lagta hai ke shayad maine purane ibadat me ghalti ki hogi.

A: Aap ne namaaz saheeh parhli choonke aap musaafir the to aap ke oopar qasar namaaz farz thi. Mina aur Makkah Mukarramah alag alag jaghe he. Dono ke darmiyaan ittisaal nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)