Published 3 years ago
Last updated 3 years ago
Q: Humari aunty ki death huwi hai abi Ramzan me lekin unhay ghasal ke baad kafnaya gaya hai but un ka kafan sirf 4 hisso pe tha; pajama, kameez, sir ka scarf aur aik bari chader. Kiya ye is tarah ka kafan durust hai? Aur us ke baad wo khwab me aa rahi hai aur apna seena chotay se kapray se cover karne ki koshish kar rahi hai. Ab kiya jaye?
A: Durust he leikin eik kapra kam tha. Aurat ko paanch kapro me kafnaana sunnat he. Agar mayyit ne apne tarika me paise chor diye jis se paanch kapre khareede jaa sake, to paanch kapre khareed karke us ko us me kafnaana chaahiye tha.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: