Paak hastiyon ke baare me buri or gandi khiyalat

Q: Aik dost ko waswasy aaty hn. Paak hastiyon ke khilaf buri or gandi khiyalat aaty hain. Jab ke wo aisy khayalat sy bachna chata hai. Iski wajah sy wo parishan hai ke uska Imaan or Aakhirat kharab na ho jaye. Poochna ye tha ke kya wo gunahgaar hota hai ya nahi.

A: Un paak hastiyo ke haq me dua karte rahe aur agar unki sawaanih mil jaaye to mutala kare aur kabhi apne ham khiyaal logo me uska muzaakarah kare. Allah fadhal farmaaye aur achche aur Allah ke dosto ki suhbat muyassar farmaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)