Huzoor Paak (sallahu alaihi wasallam) ke qabar ki mitti arsh se afzal hai

Q: Mujhe ek mufti saheb se ye maloom hua ke Deoband ke Ulama ka ye aqeeda hai ke huzoor paak sallahu alaihi wasallam ke qabar ki mitti arsh se afzal hai aur ye aqeeda Al Muhannad alal Mufannad me likha huwa hai. Aur wo log jawab me kehte hai ke arsh ki kaifiyat maloom nahi is liye qabr ki mitti afzal hai LEKIN hame ye lag raha hai ke Allah toh sab se afzal hain to Deoband ke Ulama aisa kyu keh rahe hai? Kya Deoband ke Ulama saheeh hai?

A: Ye baat saheeh he. Lekin Aap (sallallahu alaihi wasallam) ke qabar ki miti se muraad wo khaas miti he jo aap ke badan se mila huwa he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)