Published 3 years ago
Last updated 3 years ago
Q: Aaj se 2 saal pehlay kisee nay mujse zabrdasti Quran par hath rakhwa ke qasam le thi ke agar ma jhot bolun tu ma tarap tarap ke reh jaon mujy aulaad naseeb na hu tu us time apni izzat ki khatir kuch jhot bat bhi bolni pari lekin ab bohot pachtawa hota. Is ka kia kafara ho ga?
A: Aap taubah karle aur agar uske khilaaf kya to uska kaffaarah ada karle. Allah muaaf farma. Aysi baat kisee se karna karana ghalat he. Har giz aysi baate nahi karna chaahiye na kisee se kehelwaana chaahiye. Ye khaalis jaahilo ka tareeqah he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: