Hajj adaa karne se qaza namaaz maaf hojana

Q: Log kehte hain, Hajj karne kay baad insaan apnay gunaho se pak hojata hai, jese naya bacha paida hua ho, (new born baby).

Tho mera sawal hai, agar kisi insaan ki faraz namaz qaza hogai ho, tho kya qaza namaz uss kay liye maaf hogi Hajj karne kay baad? yaa lazim qaza namaz adda karega?

A: Fuqaha kehte he ke ye hadith saghaair (chote ghunaaho) ke baare me he. Bare ghunaaho is me daakhil nahi he. Bare ghunaaho ke liye taubah karna zaroori he, aur agar bare ghunaaho aise he ke un ka dain bande ke zimme me bhi baaqi ho, to un ka taubah us waqt mukammal hoga jab aadmi un ko bhi poora kare (jeise ke qaza namaaz, qaza zakaat, qaza roze wa ghaira).

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)