Dhul Hijjah ke pehle das dino me nakhun aur baal ka na kaatna mustahab he

Q: Kyu ke Zil Hajj ka akhri 10 dino me bal or nakhun nahi kateye, agr kisi ko in last days me periods ajaye to wo safai krta, bal utar sakta gunnah to ni hu ga ya qurbani na qabool hu? Muje aj periods agye hain aaj Sunday ha or Tuesday ko 1st Zil Hajj ha muje Thursday to shower lena ha kya me apny cleaning kar sakti hu Zil Hajj ke dino me?

A: Dhul Hijjah ke pehle das dino me nakhun ka na katarna awr baghal awr zere naaf ke baal ka na kaatna mustahab he. Agar koi kaate, to guneh gaar nahi hoga, lekin mustahab amal ka sawaab nahi milega. Isi tarah qurbaani par koi asar nahi aayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)