Wiraasat

Q: Mara swal ya ha k mary walid sarkari mulazim thay un ki death k bad mari walida ko pension milti the ab walida ki b death ho gai ha. Mari 3 sister he 2 ki shadi kardi the 1 abi rehti ha. Ab ammi na pension ma sa kuch pasy bank ma jama karwaey thy our kuch ghar pary he jin sister ki shaadi ho gai ha wo apna hissa mang rahi he jab k 1 sister ki abi shadi nai hoi pasy b itny ziyada nai he k choti ki shaadi ho saky. Ab ap es par bata day k us ko hisa 2 ma sa mily ga jo bank walo our ghar walo ma sa ya phir siraf bank walo sa mily ga?

A: Waalidah ke intiqaal ke bad jo kuch woh chor kar gayi he tamaam waaritheen ka haq hota he usme. Jab tamaam waaritheen ka haq he to har haqdaar ko apna hissah milna chaahiye. Kisee haqdaar ko apna haq na dena ye haraam he aur najaaiz he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)