Aurat ihraam ke beghair meeqaat se daakhil hoti aur bad me ihraam baandti

Q: Mai har 3 maheene 6 maheene par umrah par jati hu toh aksar mai napaak rahti hu islye mai India se ehraam ki niyat nahi karti hu wahan jaake paak hoke mai Masjid e Aisha se ehraam ki niyat baandh ke phir umrah karti hu toh mujhe yeh janna h ki mai yeh sahi karti hu ya mujhe islaah karni hogi or iska dam kya hoga

A: Ye tareeqah ghalat he. Saheeh tareeqah ye he ke aap meeqaat se pehle ihraam me daakhil hojaaye aur phir aap Makkah aaye. Agar aap haidh me he to haidh khatam hone ke bad aap musjid haraam me daakhil hojaaye aur aap umrah kare. Musjid Aaisha jaane ki zaroorat nahi he. Jitni dafa aap meeqaat beghair ihraam se ghuzar gayi, us ke liye dam dede. Dam ye he ke aap haram ke andar eik bakri zabah kare apne us jinaayat ki talaafi ke liye aur bakri ki ghosht ko zabah karne ke bad fuqara ko khilaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)