Computer wale table ke drawer me deeni kitaab rakhna

Q: Muje adab (respect) ke related ek sawal he mere pass computer table he with drawer hum ne top ke upar computer and laptop aur bike ki keys etc. rakhte he aur drawer me deeni kitab hifazat se rakhte he kya is tarah rakhna sahi he? Ya beadabi me shumar hoga? Mera sochna he ke agar is tarah se rakh diya aur beadabi ho gay to vo chiz istemal kar sakte he yahi? Please muje sahi rehnumai farmaye me bahut pareshan hu iske bare me soch kar.

A: Agar Quraan Shareef ho to kisi oonchi jage par rakh le ya almaari me rakh le adab aur ihtiraam ke saat. Agar koi aur deeni kitaab ho to bhi aisi jage me rakhe jaha koi be adbi nahi hogi. Computer wale table ke drawer me rakhna acha nahi he, kyuke kabhi computer ke screen par koi tasweer ya na munaasib cheez aa sakti he. Aur deeni kitaab qareeb hone ki surat me deeni kitaab ke saat be adbi hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)