Q: Mai 19 years ki hu. Mai jab 15 saal ki thi tab mere parents ne meri engagement mere cousin se jo mujhse 5 saal bada hai usse krdi mujhe ye rishta pasand nhi tha maine apni na pasandidgi zahir ki par mere parents ne mujhe samjha ke ye baat taal di aur ye rishta pakka kar diya maine bhi apne parents ki khatir usse talluk banane ki koshish ki usse bond banane ki koshins ki par mai kabhi use apna nhi payi uske kabhi accept nhi kar payi mujhe hamesha usse chid aur na pasandidgi thi fir meri ek ladke se mulakaat hui aur mujhe usse mohabbat hogyi wo mere class me padhta tha mujhse 1 saal bada tha hamari baat hui aur bht hi kam arse se hamara rishta gehra ho gaya hamari niyat shaadi ki thi aur mai waise bhi apne fiance ko pasand nhi karti thi mai apne ghr walo ke darr se chup rahi ek saal ke andar meri usse shaadi fix hui aur shaadi se 1 hafta pehle maine apne parents se saari hakeekat share ki par unhone uss ladke ko reject kr diya use kaha ki wo mu jhe chod de aur zabardasti mujhe shaadi krne pe majboor kiya ye keh ke ki unki izzat khatam ho jayegi aur wo marr jayenge mai raazi ho gyi maine zabardasti ye nikaah kiya mere dil me koi razamandi nhi thi na maine use apna shohar maana tha mai end time tak bhi inkaar karti rahi lekin kisi ne meri nhi suni uske baad meri zindagi nhi chal saki maine apne shohar ko saari hakeekat bata di use apne paas nhi ane diya kyuki mujhe usse nafrat thi aur kisi aur se mohabbat lekin wo mujhe chodne raazi nhi hai Aaj 2 mahine hogye mai apne parent's ke ghr pe hu bht zyada jhagde hone ki wajah se hamare darmiyan koi physical relationship nahi hai aur mai aisa nhi kr skti na kar paa rhi hu mai apne husband se talaak lena chahti hu lekin mera shohar inkaar kar rha hai mere maa baap mujhe zabardasti wapas bhejna chahte hai kehte hai mai nafarman hu aur mujhe baddua dena chahte hai mai jisse mohabbat krti hu wo mujhe apnane tayar hai mujhe ni kah krna chahta hai aur mai bhi mere maa baap iske khilaaf hai to kya ye jayiz hai kya mai sahi hu ya galat
A: Agar aap ke maa baap sunna nahi chahte he to aap apne khaadaan ke kisi bare se baat kare (aise bare jo deen daar our samajh daar he aur wo shariat ke ahkaam se waaqif he). Aap un se kahe ke wo aap ke maa baap ko samjhaade ke aap is nikaah me nahi reh sakti he. Agar ye mumkin nahi he, to aap apne yaha ki jamiatul ulama ke paas jaaw aur un se apni soorate haal samjha kar ke un se madad talab karle.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: