Paisa dena bakri ki iwaz me mannat ke liye

Q: Mera beta bimar tha. Main mannat maangi thi jab mera beta tundurast ho jaye ga tu main kala bakra zabah karungy. Kia main bakra key badle paisey de sakhte ho ya bakra hi zabah karna hai. Agar paise de sakte hu tu kis ko dena hai? Kia main apny susraal walon ko de sakhte hu ya bahir kisi ko dena hai?

A: Agar aap ki niyyat ye thi ke aap bakra zabah kar ke us ke ghousht ko fuqaraa aur masaakeen ko denge, to aap yahi kar le. Us ki jage me paise na de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)