Q: Mein ny kuch arsa pehly aik sahib sy kuch paisy udhar liey. Wo sahib shariat k paband aur tblighi jamaat sy munsalik thy . sahib e hasiat hhein. paisy deiny k baaad un k behaviour mein tabdili a gai kuch fazzol kisam ki batin kin jin ki waja sy mein ny unhin sakhti sy dant diya. ab mein qarz wapis krna chah rahi hon mein ny unhin masseg kiya k ap apna account no dey dain ya mein kisi k hath ap ko paisy bhijwa don. un ka jawab aya k mein ny paisy is trha na diey thy na lon ga. ap khud a kr wapis krin. paisy to maaf bhi kiay ja sakty hein ap dena hi chahti hein to jasy mein ny a k diey wesy hi ap a k dein. aik sort hy pasy wapis krny ki k ap kbhi kabhi phone py mujh sy baat kr liya krin agr aesa nhi kr saktin to sirf masseg kr liya krin. wo sahib 3 baar umra kr chuky hein aur har baar mujhy masseg krty hein k mery sy jo ghalti hoi mujhy muaaf kr dein lakin. qarz ki wapsi py un ki ye shart keya kehti hy. mery sar py qarz k bojh hy mujhy samjh nhi ata keya kron. wo kisi aur trha peisy leny ko teyar nhi.ya khud ja k don ya un sy rabita rakhon.
A: Khud pohonchne ki dharoorat nahi. Kisee tarah se unke paas adab ke saath pohonchade. Ye sab fuzool qism ki baate kar raha he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: