Mard ke lia pairon mein mehndi lagana

Q: Main Ye Janna Chahta Hoon Ki Kya Mard Ke Liye Pairon(feet) Mein Mahndi(henna) Lagana Ja'iz Hai. Main Darul Uloom Deoband Ki Website Par Fatwe Pardh Raha Tha, Aur Usmein Ek Fatwe Mein Likha Tha Ki Mard Ke Liye Apne Hath aur Pair Mein Mendi Lagana Makrooh Hai. 

link- http://www.darulifta-deoband.org/showuserview.do?function=answerView&al…

Lekin Mere Ek Dost (Jo Khud Aalim Hain) Ne Mujhe Btaya Ki Mard Pairon Mein Mahndi Laga Sakta Hai. Is Bare Mein Wazahat Karein Ki Kaunsi Baat Durust Hai. Ya Is Mas'ale Par Ulama Ka Ikhtelaaf Hai?

bismillah.jpg

A: Bilaa dharoorat ke mard ko mehndi istimaal ne karna chaahiye. Agar dharoorat ho to faqat baalo me istimaal kare ya agar kisee hakeem ya doctor ne mehndi istimaal karne ko kaha ho to dawaa aur ilaaj ke tor par istimaal karne me koi haraj nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

الحناء بالحاء المهملة والنون المشددة وهذه الرواية غير صحيحة ولعلها تصحيف لأنه يحرم على الرجال خضاب اليد والرجل تشبها بالنساء وأما خضاب الشعر به فلم يكن قبل نبينا صلى الله عليه و سلم فلا يصح إسناده إلى المرسلين انتهى (تحفة الاحوذي 4/ 167 )

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)