Published 10 years ago
Last updated 5 years ago
Q:
- Ye janna chahta hu ke agar ihtilaam ho jaaye raat me sote waqt, aur agar subah fajr ki namaaz qaza hone ke kuch der pehle uthe aur itna waqt na ho ke ghusl kar sake ke agar ghusal kiya toh namaaz qaza hojayegi, aysi soorat me kya sirf wuzu karke najasat saaf karke namaaz parh sakte hai?
- Aur agar fajr ki namaaz me kaafi waqt hai lekin agar gusl ke liye paani na ho to kya hukm hai? Yani paani sirf itna ho ke wuzu hi kar sakte hai aur najasasat paak kar sakte hai lekin gusl karne ke liye utna paani na ho to kya hukm hai?
- Aur mujhe aksar subah gusl karne se sardi hojaya krti hai mere liye kya hukm hai? Sirf wuzu se kaam chalega?
- Aur agar jaaane anjaane me main ne napaaki me (matlab gusl waajib tha) lekin sirf wuzu kar liya to kya hukm hai?
Baraaye meherbaani rehnumayi farmaye.
A:
- Nahi. Ghusal karna zuroori he. Agar waqt khatam hogaya, to namaaz qazaa hogi.
- Agar kahi bhi paani nahi he, ayk meel ki masaafat tak paani nahi he har taraf se, to tayammum kar le.
- Gharam paani isti'maal kare.
- Ghusal kar ke namaaz dowbara parhle.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: