Qur'an Shareef ki aayaat taweez me likhna

Q: Ayk sunni aalime deen 55 saal jo qurani nuqush se tawizaat likhte hai. Unke pas muslim gair muslim bache burhe mard or ladies sabhi aate hai. Kya aise alime deen ke piche jo taweez likhta ho or taweez par hadiya bhi leta ho to kya unke piche namaz ho sakti hai?

A: Wo taweez jisme Ayaat-e-Qur'aaniyah ho, us ku likh kar mareedo ku dena jaaiz he. Ayse shaks ke pheeche namaaz parhna jaaiz he. Lekin kaafir logo ku Qur'an ki ayaat likh kar dena saheeh nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)