Published 9 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Muje ye janna tha ke agar farz namaaz me kisi rakat me ayk hi sajda kare to namaaz ho jayegi? Owr agar sajda-e-shaw kar le to namaaz ho jayegi? Owr agar namaaz padh ne ke bad yaad nahi he ke ayk sajda kiya tha ya do to kya namaaz dohraani parhegi? Owr kya namaaz me pehela sajda hi farz he doosra sajda wajib he ye baat sach he?
A: 1. Do sajda karna fardh he. Jab fardh me kami huwi, to namaaz nahi huwi. Dowbara parhle.
2. Faraaidh ke choot jaane se sajda-e-sahw kaafi nahi hoga.
3. Jo us ke gumaan me ghaalib he, us par amal kare.
4. Downo fardh he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: