Showhar doosri biwi se nikaah karna

Q: Mery husband ayk neik insan hain, unhun ne pehley shaadi kar rakhi thee magr us bv se bachey nai they unk, unhun ne mujse shadi ki mgr ye baat chupaeey ke unki pehli biwi bhi ha ar unk sath hameshaa rahey gi unk nikah mein. Ab mery do bachey hain alhamdollilah, mujy ab pta chala ar mein sakht taklif mein hun, unhun ne jhoot bola ke mujse muhabbat ha ar mene apney maan baap ar rishtey daron ki marzi ke bagher unse shadi kar li, ab mujy sabar nai ata, mein unki us bv ko batrdasht nai kar skti, mujy acha nai lgta k wo mujy touch b krein kiun k wo usk pas b jatey hain, unhun ne mujy dhokaa dia, jis k ly mene sari dunia kurban kr di wo insan dhokey baaz ha, ab mein agr talaq loon gi tu bachey tabah hujaein gey ar soteli maan k pas le jaien gey unko mery husband, mery pas b rahey tu baap ki kmi hogi unko, mein job krti hun, ajtak mene unse ak pesa b nai lia, unk pas nai they pesey kbi b hmareylye, mery lye kia hukam ha islam ka, mein guehgar nai huna chahti mgr sabar b nai ata mujy, wo bat bat pe laraee krney lgtey hain, please mujy rehnumaee dein k kia istarh dhokey se shadi thek ha? kia mujy aesey shaks k sath rehna chahey, mujy sabar kesey aey ga. mein har wkt roti hun sakht aziyatt mein hun, meri mdad krein , allah se dua krein k wo mery hal pe reham krey ya mujy utha ley, mein khud kashi b nai kr skti mery bachon ka kia hoga, ar meri 2 yatim bhanjiyan hain unki kafalat b mein krti hun, unka kia hoga.

A: Aap ke khaawind ne koi haraam kaam to kia nahi. Khwaa ma khwaa tu pareshaan hoti he. Agar koi be izzati ya haraam kia hota to usme shikaayat ka moqa he. Agar usne jaaiz kia to usko jaaiz kaam ka haq ko kyu dabaate ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)