Najaaiz talluq

Q: Me agriculture university ki stdnt hon ma aik larky ko psand krti hun. Wo punjab uni sy prha hai aur ab sudia ma hota hai hmari mulakat facebook py hoi ma apny walidan sy un k bary ma bat ki ghar walon ny bht lan tan ki k tm nay hmara aitbar tora hai laken phr b mary walid un k walid say milny un k village gy wahan un ma kya bat hoi ma ni janti mujy bas itna pta lga k un k walid nai many laken us sy phly wo mujhy bta chuka tha ke us k father agree hain bad ma wo apny father sy bat ki to unhn ny kha k meri papa ny kha ta k ap inkar kr dain. Laken mufti sahab hum dono aik dosry k bgair adhora mehsos krty hain plz koi asa hal btain k hum dono k parnts agree ho jain r hmari shadi ho jae agr mari shadi kahen r ho gi to ma us bandy k sath itni mukhlis ni ho skon gi.

A: Nikaah ke maamle me larki ku chahia ke apne maa baap ke mashwarah ke ma taht rahe. Kisi larke ke saat apna nikaah karna kud ne sowche. Ye to tabahi owr nakaami ke baais hoga. Agar tumhare maa baap us larke se khush nahi he, to aap us ke peeche ne paro. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd ye dua parhe. Allah Ta'ala aap ku neak rishta naseeb farmae.

رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيْر

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)