Khwaab ki ta'beer

Q: Mene abi imtehan dia hy. Mein fajar ki namaz parh k soi to khuwab mein dekha mere sir mjh kehte hen tm ek mark sy reh rai thi mjh sifarish krni paregi ta k tm pass ho unka mood sahi nahi lg raha tha mjh yeh bura lgta hai mein kehti hun to ap sifarish na karen. mein phr dekhti hun dosrey sir kehte hen ye tmhra seat number nahi hai ye tmhari marks nahi hen tm apna sahi computer mein code lgao to tmhre marks pata chalen mein bht koshish krti hun computer mein code dal k pr mjh meri marks pta nahi chalti. mjh khuwab mein 59.6 ya 59 estarah k number nazar atey hen ab mjh samjh nahi aya 59 mcq sahi hwe ya marks. Is ki tabir bata dien kia matlab hua es khuwab?

A: Khwaab ki ta'beer ye he ke apne zindagi me ba'd cheeze islaah ki qaabil he jaise huqooqullah ya huqooqul ibaad me se koi kami. Aysa ne ho ke waha ke imtihaan me kuch A'maal kum hone ki wajah se owr gunaahi ki wajah se pareshaani ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada