Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwab me dekha ke ghar ke bahar ek announcement ho rahi hai ke wo din aa gaya hai sab taiyyar ho jaye kisi ki tez awaaz aa rahi thi aur bahot kadak awaz thi. Phir mai mere college me thi waha per bahot sare log the mai lobby se class me ja rahi thi waha se niche dekha to ek kile ke darwaze ki tarah bade bade darwaze dikhayi diye. Kisi ne kaha sare darwaze khol do wo waqt aa gaya hai fir maine kisi ko pucha ki aaj kya date hai to pata chala ke 10 muharram hai. Phir mai apne saheli ke sath class me ja rahi thi ke achanak se mere samne ek ajeeb sa janwar aa gaya bahot khoonkhar sa mai dar gyi. Wo mere qareeb aa raha tha to maine zor se kaha Allahu Akbar. To wo jaanwar ek insan ban gaya aur Allah ku sajda kiya. Phir mai ek class me gayi wha bahot sare log the kuch pehchan wale kuch anjan waha ki window se maine dekha to niche kuch log bhag rahe the. Mujhe laga ye to qayamat ki nishani hai to maine sab se kaha kisi ko azaan dena aati hai unmese ek aadmi utha aur kaha mujhe aati hai. Wo azaan dene laga. Aur hum sab uske piche dohrane lage. Please mujhe is khwab ki tabeer bata dijiye.

A: Musalmaan ko maut ke liye aur aakhirat ke liye har waqt tayyaari karna chaahiye. Ghalat jagho se bachna chaahiye. College, university wa ghayrah ye musalman aurat ke liye bilkul bejaa aur ghayr munaasib he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)