Q: Main English school main admission karwata hoon donation le kar kyun ke un bachoo ka naam list me nahi ata hai aur ye school wale jaan kar karte hai donation laney ke waje se khas ke muslim bachho ko aur jo log mujhe jante hai wo mujhse request karte hai addmission karwa digye us me muslim bhi rahte hai aur non muslim bhi aur mai addmisson karwa deta hoon donation le kar wo donation school wale le lete hai aur mujhe bhi kuch share milta hai aur is line mai bohat froud bhi hai jo paisa kha jate hai magar mai aisa nahi karta hoon kyun ke kisi ke bacha ka future ki baat hai kya mai thik karta hoon kyun ke kuch logo ka kehna hai mera ye paisa haram hai. Please advise.
A: Ye baat samajh me nahi aaraha he ke donation lene ki kia dharoorat he. Kia ye sharaait daakhla he ya wayse hee rishwat ke tor par diya jaata he. Agar rishwat he to zaahir he ke rishwat jaaiz nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Q: Bila donation ka bhi admission hota hai magar sirf kuch hi bachoo ka maximum ko donation dena pardta hai kyun ke bila donation ye log admission nahi lete to kya mai in logo ki admission karwa ke galat karta hoon kyun ke kisi ki bachoo ka talim ka sawal hai aur mera us donation me share lena jaiz hai ya haram hai?
A: Jab ye rishwat he, to kaise aap us se hissa le sakte he? Wo jaaiz nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: