Mazaahib

Q: Kia sub se bari biddat yeh nai hay ke hum khud ko kehtay hain ke hum Hanfi hain ya shafi ya hanbli ya maliki hain ya ahle hadith hain, kia yeh Bohat bari biddat nahi hay hum to muslim hain. Huzoor Akram (Sallallahu Alayhi Wasallam) to in mein se kuch bhi nahi thay?

A: Ye saheeh baat he ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) in baato me se kuch nahi the. Lekin aap ki samajh me nuqsaan bhi he. Aap urdu bolte he, Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) uske saath koi ta`alluq nahi tha. Aap taleem haasil karta he ghair arabi zabaan me aur Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) uske saath koi ta`alluq nahi tha. Apni sahoolat ke pesh-e-nazar dunyawi ta`leem haasil karta he aur internet isti`maal karta aur Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) uske saath ta`alluq nahi tha. Ziyaadah se ziyaadah ye kahnge ke sahoolat ke pesh-e-nazar in umoor ikhtiyaar kya ja raha he. Yahaa bhi ye kahaa jayega ke saheeh intizaam ke liye usko ikhtiyaar kia jaata he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)