beauty

Logo ki baate ki taraf diyaan ne dena

Q: Mai apne husband se bohot pyar karti hoon... mere husband mujhse zyadaa khubsurat hai. mere mu pe log jab ye kehte hai ke mai khubsurat nahi hoon. mere chehre ka rang gora hai bas isiliye mere shadi huyi hai. mere face shape achchi nahi. mere sasural wale kabhi kabhi kehte hai ke najane mujhme aisi kya dekhli mere husband ne jo mujhe shadi karli. kabhi kabhi mere husband bhi kehte hai ke mere face shape achche nahi hai... mujhe bohot dukh hoti hai. jee chaahti hai k mar jaoon. shadi ke pehle pehle samay wo mere chehre se pyar karte the aur mai thodi acchi bhi dikhti thi. lekin ab sab log mujhe aise kehhte hai aur mai sach mai hi kharab hote ja rahi hoon. mai boht dukhi rehti hoon. koi mujhe mere husband ki kabil nahi samajhte hai. koi mere picheto koi mere mu pe ye keh dete hai ke mai khubsurat nahi hoon. mai apne shohar ki kabil banna chaahti hoon har taraf se.

Showhar ke lia khoobsurat banna

Q: Mere husband mujhe pasand karke shaadi ki thi lekin bahar ke log aur mere ghar pe bhi kabhi kabhi saab ye kehte hai ke mai unki hissab se sundar nahi hoon. Mai bohot khubsurat banna chahti hoon apne husband ke liye. Mai chahti hoon ke mai bohot khubsurat ban jaoon taki meri saans aur meri nanand mujhe bohot pasand kare bahu ke taur pe. Aur unki maan mai koi sikayate na rahe mujhko leke. Mere husband bhi mujhe bohot pyar kare aur kisi aur ki taraf na dekhe.

Jis haalat me Allah Ta'ala hum ku rakhe, us haalat se hum khush rahe

Q: Me bohat pareshan hun muja Allah ne sub kuch dia sagey rishtay un ka payar acha khana pina rehna sahna har sahulat or jismani bhi tamam naimten or saht bhi jis ka muja bohat ehsas h or ma shukar bhi ada krti hun bs thori si kami h yani real beauti choti hight unfair rang or azaa waghera ka khubsoorat na hona jis ka ehsas or mukaml ya acha khubsoorat na hona ki khahish din raat meray dilo dimagh par havi rehti ha meri sirf yehi dunayavi khahish h muj alima hafiza tarjama tafseer karni ki bohat khaish h ma in sab kliye dua bhi karti hun khubsoorat na hona k ehsas bohat tang kart h ma ye samji k shyed ye azamish ho jis par sabr karn ka ajar milay par ap ne kaha k ye azmaish nhi h ma ye sochti k ye sab dunia ma na milnay ka to ajar milay ga na to is tarha shayed muja sabar ajye kia esa h ye b bta de.sir ma bohat koshish karti hun khud ko samjany ki k ye khatam honay wali chiz h Allah jo behtar hota h wohi kart phir ye bat ati h k Allah sab kuch kar sakta h wo muja khubsoorati denay ma bhi to behtari rkha sakta h esay sawalat zahan ma atay hn ma thak jati hun khud ko samjh k magr dil nahi manta thori dair samjhta h phir wohi zid or i try k is khaish ko dil se nikal dun but nhi kr pati ma bohat pareshan hun plz ap meri rahnumai karen mujha itmanan bukhsh jawab dijiye ga jis ma na umeedi na ho please.

Khoobsurat ne hona

س: کیا کم خوبصورت ہونا بهی آزمائش ہوتی ہے جبکہ دل میں بہت خواہش ہو خوبصورت ہونے کی اور صبر کرنا بہت مشکل ہو؟