Rowze ke mufsidaat wa makhroohaat

Rowze ki haalat me mazi nikalna

Q: Mera sawaal aapse ye he ke agar jinsi baat ki jaye ya suni, parhi jaye us se jo safed discharge khaarij hota he (jab ke jism may koi harkat mahsus na huwi ho, istaadah na huwa ho bus discharge ho to aysi haalat me kya ghusal farz ho jayega? Aur agar roze ki haalat me aisa ho tu kya ahkaam he roza totjayega ya foran ghusal karliya jaye to roze par asar nahi hoga? 

Iftaar waqt se pele karna

Q: Ramazanul Mubarak ke 29 roze ke dopahar mein mai Dubai se Bombay ki flight metha. Iftari ka waqt nazdeek tha, maine air hostess se pucha aur uske bataya ki iftari ka waqt hai 5.50 to maine is time ke hisab se roza khola lekin 25 minute baad flight mein announce hua ki ab roze ka time hua hai roza khol lo. Shayad airhostess ke bolne mein mistake ho gayi hai ya mere sunne mein, to kya mera roza ho jayega. agar nahi to kya kaffara hoga.

Mani nikalne ke ba'd baghair ghusal Rowza shuroo' karna

Q: Mera sawal aap se yeh hai kay Ramzaan mai husband k sath intercourse ke bad me ne gusl kiya foran or bed per aram karne lagi or sehri me dekha mani again nikal aye khud ba khud meri galti bilkul nahe hai is mai kyu k maine aisa kuch bhi nahe kiya k kuch bora socha ho ya dekha ho or yeh bhi nai pata k yeh mani husbend ki hy remaning ya wife ki. Maine sehri mai gusl nahi kiya kissi wajha se balke zohar ki namaz k bad gusl kiya tha ma ne owr roza bhi nahe tora tha me ne. To kya aisi halat mai mera roza hogaya k nahe. Owr agr roza toot gaya aisi situation mai tou kya kufara dena hoga mujhe?