barren woman

Wo larki jo maa nahi bansakti, us se shaadi karna

Q: Mai aik larki se shaadi karna chahta hn. Hamary ghar waly taqreeban raza mand hain is rishtay par. Masla ye hai k mjy larki sy pta chala hai k wo maa nhi ban sakti. Mery yaha par do sawal hain:

1. Kya ye baat sahi hai k mai ghar walo sy ye baat chupaun aur unhy naa bataun jb k mjy ye baat qabool hai.

2. Kya kisi larki sy rishta is wja sy khatm kr daina k wo maa nhi ban sakti, drust hai. Kya kahi is wja sy mai gunahgar to nhi ho jata. Mera ye masla hall farma dijiya. Allah apko jaza dy.