rooh

Kya maut ke ba'd rooh 40 din tak ghar me aati jaati rehti hai?

Q:

1) Maine suna hai jab kisi ka inteqal ho jata hai to uski rooh 40 din tak ghar me aati jaati rehti hai ,isliye ghar me"arhar aur masoor ki daal" nahi pakni chahiye kyuki iske paakne se rooh ghar me nahi aati.Kya yeh sahi baat hai?

2) Jume ki raat ko roohe chode jaati hai aur wo apne bete aur betiyon ke ghar aati hai isliye "arhar aur masoor ki daal" nahi paakani chahiye kyuki isse roohe unke ghar nahi aati.

3)Roohe kin khane ki cheezo se ghar nahi aati?

Rooh ke baare me sawaalaat

Q: Mere zehn main teen questions hain.

1. Marne ke bad rooh ka dunya se koi rishta nai rehta?

2. Main ne suna hai ke rooh har jumirat (Thursday) ko apne ghar ati hain.

3. Mujhe kindly yeh bata dain ke jaise marne wale ko sb miss krte hain for example us k maan baap, dost behn bhai. Kia marne wala bhi apne pyaro ko miss karta hai?