ahle hadith

Hadith par amal karna

Q: Mere walid saheb sa ek baar ek baat ho rahi thi kisi ne unho ko kaha k bilkul hadees par amal karna chahiya aur Quran par bhi laikin hadees main koi galti bhi ho sakti h laikin main na foran un ki islah ki aur kaha ka tamaam hadees theek hn aur un ko hadees par program bhi dikhaya ab pta nahi unho na ya bt mouzoo hadeees ka hawale sa ki thi ya shayad un ka zahen main zaeef hadees ka ek allag ki concept tha laikin unho na ma'aazallah inkar nahi kia hadees ka but shayad jahalat aur deen sa doori ki waja sa aesa kaha main na un ki islah kar di thi is sare masla par kya hukm hoga

Masaa'il mu'tabar tajraba kaar parhezgaar Aalim se poochna

Q:

1. Zaroori hai ke hum ya to Sunni hn ya Deobandi ya Ahle hadees? Me apne apko just aik true Muslim samajta hn I don't follow any one to kia kisi firqe ko hona zaroori hai Islam me ya as a Muslim samajna kafi Quran or Hadees pe amal karne wala?

2. On the day of hereafter kia is bare me sawal hoga ke kis firqe ko follow kia hai n kin Ulamao ko n konse Mufti se sharai masail pochte the?

3. Jo shaks jis firqe ka hoga "Sunni, Deobandi or Ahle Hadees" to uske Ulama karam n Mufti sahab jo follow karte honge us base pe uska hisab kitab hoga and agar Ulama galat tariqa follow karte the to kia uski saza us shaks ko bi milegi?

Ahle Hadith ko musjid se rokna

Q: Kya musjid me kisi ahle hadith firqa ke logon ko namaaz parhne ke liye mana kiya ja sakta he? Aur ahle hadith hazraat ko masjid me sakhti se nahi aane ke liye bola ja sakta he? Jabke masjid ahle barelwi firqa ka he. Mene suna he ke masjid Allah ka ghar he. Jabke yaha musjid nayi tameer ki gayee he. Tameeri kaam me sabhi firqe ke logon ki madad se musjid bana he. Jab masjid tayyaar ho gaya to musjid ki zameen ki registery paper me dhokhe se likhwaya gaya he ke is musjid ke nigra sirf barelwi firka ke manane waale honge. Magar sachchayee ye he ke musjid banne se pehle kuch chuninda lowg musjid ki zameen registry karwaane gaye we log awam ko dhoke me rakhkar barelwi firqa waali baat paper me likhwa diye jiske baare me awaam ko do teen saal tak maloom nahi tha ke is tarah ki baat registry paper me likha huwa he. Iska khulaasa tab huwa jab kuch ahle hadith hazaraat namaaz me zor zor se aameen bolte the jiski tanqeed barelwi aqaaid ke lowg karne lage wahi lowg tanqeed kar rahe the jo registry ke paper me likha huwa ko jaante the. Kaafi hangaama huwa to gaaw me baithak huwa jisme ye saamne aaya ke ye to sirf barelwi hazaraat ke nigraani ya unhi ke maanne wale jo karenge ya kahenge wahi hoga. Is jagah par barelwi hazraat ko chowr kar baki sabhi firqe waale bebas ho gaye. Aur majbooran sabhi logo ko masjid chorna para. Jabke tameeri kaam mein sab sath sath the. Gaaw me aksariyyat barelwiyo ka he. Ab mera sawaal he:

1. Kya kisi ko masjid se nikaala ja sakta he? Jabke dhoke me rakhkar paper banwaya gaya ho?

2. Awaam ko dhoka dene ka kya azaab he?

3. Kya dhoke me shaamil hazraat ke peeche namaaz hogi?

4. Ab ahle hadith wa doosre firke ke logo (barelwi ko chor kar) keya karna chahiye. 

Teen talaaq

Q: Agar koi aadmi apni biwi ko ik he waqt mein teen talaaq likh kar day or os admi ka taluk al e sunnit sa ho lakin talaq diny ke bad os ko sharmandgi or afsos ho to vo admi Al Hadis sa fatwa ly k ik mujlis ki 3 talaq ik talaq hoti ha kia is tra fatwa leny sa vo donu pely ki tra husband or wife bn kr reh skty hen Quran o Hadis ki roshni mein please bataen aisa krny sa vo husband or wife rehn gay ya Halala krny k beghair vo mian bivi ne bn skty.