Paaki owr Napaaki

Tiles ko saaf karna

Q: Tiles jo zameen par lagi hoti he wo napak hojaye to ponja (geela kapra) lagne se paak hojati he? Jab tile sookh jaye aur uspe koi napaki jese bathroom se layi gayi geeli chappal ka geelapan sookh jaye aur phir dekhai bhi na de tab bhi tile paak khelayi gi?

Kiya peeli rutoobat jo aurat ki sharamgah se nikle napaak he?

Q: Baaz Ulamaa se suna ke agar peeli rutoobat aurat ke agli maqam se nikle aur us me blood shamil na ho aur na infection ho to wo paak he. Kiya ye durust he? Aur agar uss discharge me kuch smell ho lekin blood bhi na ho aur na infection ho matlab ko pain koi rash koi itching nahi sirf kamzoori ho to phir kiya hukam he uss rutoobat ka? Doctor se bhi consult kiya ye he in ka kehna ke yeh peela likoria aur ab ye bhi suna ke common he ye.