Napaaki ka daag kapre par rehjana
Q: Mera sawaal he ke kiya kapray ke paak karnay ke bad or phir mukammal kapray ka sookh jaane ke bad kapray par napaaki ke daag/nishaan reh jay to kiya aysay kapro me namaaz hosakti he?
Q: Mera sawaal he ke kiya kapray ke paak karnay ke bad or phir mukammal kapray ka sookh jaane ke bad kapray par napaaki ke daag/nishaan reh jay to kiya aysay kapro me namaaz hosakti he?
Q: Me aap ku bataa du ke agar peshaab karte waqt kisi wajah se thori si peshaab ayk sikke ke barabar kapre par lag jaye to kya hukum he? Ayk sikke se ziyada lag jaye to kya hukm he. Dono soorat me namaaz parna jaiz hoga kya? Kisi wajah se kapre ke os hisse ko na dhokar jaise namaz ke waqt ki kami ke wajah se.
Q: Hamare ghar me kaam waali aake napaak aur paak kapre ko baalti me surf ka paani lekar ek sath baalti me duba kar bigo kar rakhti he, phir kapre ko baalti se nikal kar baalti ka paani phenk kar baalti ki tari me thora paani lekar baalti ko thora hila kar phenkti he, owr phir dosri baar baalti me paani lekar baalti me mug daalkar kapre ke opur paani daalke kapre ko ragar ragar kar dhoti he phir saare kapre ko baalti me phir se ek sath duba kar nichorleti he owr baalti ka saara paani nikaal deti he. Ab hamare kapre aur baalti mug paak he kya?
Q: Kiya aesay kapray jin par napaaki waaly kaprey dhote huwe cheenten pargaye ho un kapron ko bhi aesay hi paak karna ho ga jo sharee tariqa he ya sirf dho le? Me ne aap se pucha tha ke agar napaak kapray ko 3,4 bartan me pare paani se baari baari nikaal liya jaye to kiya paak ho jayen ga. Aap ne farmaya istara shak rahta he paani ko upar se daal diya jaye. Me ne ghar walon se kaha ke paak karne ke tareeky hi se paak ho ga. Unho ne kaha ke teen dafa paani se nikaalne ke bad paak hojate he. Itni dafa jab paani se nikaal liya jaye to konsi napaaki baaqi reh jaati he? Yehi baat me sowchti hu jab itni baar paani se nikaal liya jaye to phir bhi napaaki kesy door nahi hogi khaas kar aesy kapry jin par napaaki waly kapray dhotay huay sirf chheente pare hun. Aap baraaye memerhbaani rehnumai farmaye? Kiya haiz o nifas ke dino me pehne jany wale kapray bhi shar'ee tariqe se paak karnehonge jab ke un par khoon ya napaaki na lagi ho? Kiya hari shalwaar pehen sakte he agar sili gai ho?
Q: Agar napaak kapre istarah dhoye jaye ke 3,4 bartano me pani ho un sab panion se baari baari nikaal lia jaye to kapray pak ho jaenge? Ya paak karne ka khaas tariqay se hi paak hoga jese behte paani me dhona ya baalti me daal ke paani par haath rakh ke thora behne dena? Tafseel se bta den.
Q: Agar mazi kapro aur jism par lag jaye is se kapra aur jism napaak ho jaata he ke nahi?
Q: Mera sawal hai ke kya mani ke kharij hone se woh kapre bhi napaak ho jate hain jin par najasat na lagi ho, phir chahe mani ihtilaam ke zariye khaarij ho ya mushtzani ke zariye.
Q: Mera ek bahut bada problem hai ke mujhe peshab ki jaga se dhat jaise nikal ta hi rehta hai peshab karne k baad bhi aur peshab na karne k phele bhi mein hamesha paanch waqat ki naamaz ka paband hoon meri ahe takleef kaise hal karoon jab bhi apni peshab ki jaga dekh ta hoon tar jasi dhat nikal kar rehti hai mujhe naamaz ke padh ne k liye meine ek tarkeeb bani hai k jab bhi peshab karne k baad apni peshab gha ki nook par ek insulation tape jo electric wire ko joint karne k baad laga te hai woh thodi cut kar k usme thodi cotten ki royee laga leta hoon ta k kapra par aur bahar na nikal paye aise is liye karta hoon k meri naamaz khaza na hojaye aur naapaki hone bachoon kya aisa karna jayez hai?
Q: Raat me jab me sota hu to thora bohot ziyaada nahi safed sa paani mere under wear par lag jaata he har roz mujhe kya ghusal karna chahiye ya har roz under wear badalna chahiye ya un dhabbo ko dhokar bhi meri namaaz ho jayegi.
Q: Hamaare ghar me dhobi aake kapre dhoti he. Wo kapron ko baalti me bhigaane ke baad un kapron ko saaboon se ragar ke aur us baalti me jo paani thaa use phenk kar doosri martaba paani lekar baalti me hilaakar phenk deti he aur ye kapron ko ek aur martaba baalti mein paani bhar kar dubaa ke nikaalti he. Kya hamaare kapre aur baalti dono paak he ab?