Paaki owr Napaaki

Mani aur mazi me shubah

Q:

1. Me ye poochna chahti hu ke jab me so kar uthti hu tab koi geelapan nahi hota lekin me apne kapro ko dhiyaan se check karti hu tab mujhe kapre ke color print bhi mani ke daag jaise lagte he aur samjh me nahi aata ke ye mani he ya nahi. Kabhi aisa lagta he ke daag he kabhi lagta he ke nahi he. Baraaye meherbaani bataye ke in shak ke beech me namaaz kaise adaa karsakti hu?

2. Agar hasb-e-dustoor discharge ka daag ek dirham se kam ho to usse saaf karna zaroori he?

Mani owr mazi

Q:

1) Me poochna chahti hu ke mazi ke sookhne ke baad uska nishaan rehjaata he agar mazi kapre par sookh jaaye to kaise pata chalega ke kahaan se kapra dhowna he?

2) Agar kapre peele rang ke pehne ho to mani ka kaise pata chalega kyunke auwrat ki mazi peeli si hoti he?

3) So kar uthne par mujhe discharge bhi mani ki tarah lagta he mere dimaag me hamesha har roz shak hi rehta hai.

4) Jhapki lene par agar koi ghalat khiyaal aajai to ghusal fardh hoga?

5) Mujhe bohat neend aati he us wajah neend ki jhapkiyan lagti rehti he to mujhe baar baar ye shak hota he ke kahin me soyi to nahi thi aur mujhe ihtilaam to nahi hua he. Is wajah se mujhe kai baar ghusal krna parta he.

Napaak kapra phenna

Q: Agar ayk shaks mushtzani karta he or uske kapre shalwaar napaak hojati he phir wo farz ghusal karke paak hojata he lekin usne shalwaar ko paak nahi kiya he. Agar wo dobaara wohi napaak shalwaar pehnega to kiya wo dobaara napaak hojaega ya wo paak rahega kynke wo paak hochuka he farz ghusal karke.

Napaak kapra

Q: Agar napaki (haiz) ke dino me kapre pehnay ho, un pe napaaki na lagi ho to kiya wo napaak hongay? Un ko bahtay pani ma hi pak karna ho ga ya sirf dhole? Kis mard or aurat ke kaparay ayk sath machine ma nahi dhonay chahiye agar showhar ke bhi ho?